Wasi Shah Poetry Shayari SMS Message Collection
{YBA} Young intelligent guy wasi shah is a very popular poet of Asia. His most readable ghazal is “Kangan”. “Tum mery saath raho” mere kuwab tumari kushboo WASI SHAH. Kaash main tery haseen haath ka kangan hota.
Wasi Shah’s most wanted collection, latest new wasi shah sms, Wasi Shah SMS text messages, urdu poetry of wasi shah, and wasi shah ki tadap” these are most famous and all people’s favorite Fantastic wasi shah sms collection.
1. Aankhon Main Nami se
Dil Main Afsoos Aankhon Main “NAMI” See Rahti Hai,
Zindagi Main Shayad Koi “KAMI” See Rahti Hai,
Mujh Say Rooth Jatay Hain Aksar Meray Dost “WASI”,
Shayad Meray Khaloos Main Koi “KAMI” See Rahti Hai.
2. RAB se Tum Mujhey Maang Lo
Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo
Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhay Ko Thaam Lo
Teri Aankhon Mein Jhalak Hai Asi Merey Pyar Ki
Saahil Pe Jesey Dhalti Haseen Shaam Ho
Lafzon Se Hota Nahi Izhaar Humse Pyar Ka
Bas Meri Aankhon Mein Dekh Kar Khud Ko Pehchaan Lo
Jesey Tarasta Hein Sehra Shabnam K Choonay Ko WASI
Kabhi Wese RAB Se Tum Bhi Mujhey Maang Lo.
3. Jhoot and Sharmana
Hum Say Wo Jhot Bool Kr Sharma Rahey Hain Kyoun
Wasi, Thori Bhoat Jhot Ki Aadat Sabi Ko Hai,
4. Sacha Kirdaar sms Wasi
Mujhay Apne Kirdaar Pe Itna Tou Yaqeen hai, wasi.
Koi Mujhay Chor Tou Sakta Hai Magr Bhula Nahi Sakta.
5. Shrafat or Magroori sms
Meri Khamushiyon Ka Raz Mujhey Khud Nhi Malum
Wassi
Najane Kiyon Log Muje Maghroor Samajhte Hain.
6. Aankhon mein Aansuo
Ab teri Aankho mei? Ansoo kis liye hain Wasi,
Jab chor hi diya tha to bhula bhe diya hota.
7. Khuda Gawah Udaasiyan SMS
Udasiyon se Wabasta Hai Yeh Zindagi Meri WASI,
Khuda Gawaah Hai K Phir Bhe Tujhe Yaad karte Hain.
8. Dariya me Qatra ki Aoqat
Chor Wasi ab us ki Batain tujhko pagl kr dain gi,
Tu qtra hy wo drya hy dekh apni auqat Wasi Shah.
9. Gham ka Taaj
Sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain,
WASI Utar lejiye sar se yeh taaj kanton ka.
10. Jaan sy Bikhertey Dekhay
Kaash woh aa jaye mujhey jaan se guzaratey dekhay,
Us ki khuahish thi kabhi mugh ko bikhertey dekhay,
Woh saleeky se huwa hum se Gurezaan Warna,
Log TU saaf muhabbat mein mukartey dekhay,
Waqt hota hai har dard ka marham ” WASI “,
Per kuch zakham Thay Aisay jo na bikhertey dekhay.