Judai ke Ansoo – Aansu SMS Urdu Text Messages
If you are feelings alone and want to sad Urdu sms and ansoo sms text collection, you can read and copy and share to your friends and all related persons.
1. “Ansoo Bahana” Pakistani Girls Choice
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai
Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai
Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai.
2. Aik Aansu Meri Palkon pe Numanyan hi Sahi
Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi
Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi
Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi.
3. Aansu Jo Beh Rahey Hein Inhein Behney do
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do.
4. Teri Judai K Ghum Ansoo Se Dholeinge
Teri Judai K Ghum Ansoo Se Dholeinge
Kahin Bhi Ja K Akele Mein Khob Rolenge
Kuch Aise Tanha Hoye Apna Humko Hosh Nhi
Yeh Mera Muqadar Hai Tera Dosh Nahin
Hum Apne Ansoo Tere Dard Mein Samoleinge
Hai Aj Bhi Teri Batoon Ki Kasak Dil Mein
Abhi Wo Guzre Dino Ki Hai Bas Mehak Dil Mein
Magar Na Raaz Teri Be Rukhi Ka Kholeinge.
5. Ager Wo Meherban Hoti
Ager Wo meherban hoti
to mairy ankh main
Na jhilmilati nami hoti
na mairay dil ki wadi main
hizan ka Qafla rukta
Ager wo meherban hoti….
Mairy be-noor Ankhoon main
sitaray Qaid ker deti
Mairy Zakhmi hatheeli per
wo ik phool dher deti
mairay hathoon ko apnay hath main le ker
Wo yeah kehti …
muhabbat roshni hai , rang hai
Khushboo hai sitara hai
Qasam mujhko muhabbat ki
Mujhe tu Sab se payara hai.
6. Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay
Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay
Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay
Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay.
7. Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi
Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi
Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi.
8. Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna Main Ashkbaar Yeh Anakehen
Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna Main Ashkbaar Yeh Anakehen
Kisi Ke Aahat Sun Ne Taras Rahe Yeh Kaan
Kisi Ke Mehak Saht Liye Hawa Ka Woh Jhonke Se Surakh Huve Rukhsaar
Kise Ke Intezar Ke Ghadiyan Ginete Huve Muskrahat Sajaye Yeh Lub
Kisi Ke Pyar Ko Mehsoos Ker Ne Bechain Yeh Dil
Kisi Ko Chune Ke Tamanna Liye Bechain Yeh Najuk Hath
Kisi Ke Sath Pyar Ke Raahon Main Chalne Bechain Yeh Naajuk Paav
Yaa Khuda In Palkon Ko Bund Ker Ke Un Ansuon Ko Aazad Ker De Ab
Woh Nahi Ayega.
9. Khamosh Zubaan Ke Lafzon Mein Kuch Posheeda Si Baatein Hain
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho…
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
10. Mohabbat karke dekho to Mohabbat kya nahi karti
Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti
Mohabbat khud bhi hoti hai
Mohabbat khud hojaati hai
Mohabbat khud banati hai
Mohabbat khud bhi banti hai
Mohabbat khud bhi andhi hai
Mohabbat andha karti hai
Mohabbat jhuk bhi sakti hai
Mohabbat jhuka bhi deti hai
Mohabbat khud bhi nafrat hai
Mohabbat Pyaar bhi karti hai
Mohabbat Pyaar hai Dil ka
Mohabbat esaar bhi karti hai
Mohabbat kaam hai dukh ka
Mohabbat naam hai sukh hai
Mohabbat naam hai is ka
Mohabbat is hi ko kehte hain
Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti.